Jitni aasaan dikhti hai, utni tu hai nahi,
Har mod pe nayi uljhan, har raah mein nayi mushkil.
Kyu rulati hai unko, jo pehle hi aansuon ke samundar mein doobe hain?
Kyu satati hai unko, jinka dil pehle hi zakhamon se bhara hai?
Jo pehle hi tooti ummeedon ke sahare jee rahe hain,
Tu unhi ki takleefein aur badhane aa jaati hai.
Kabhi toh kisi ka dard samajh,
Kabhi toh kisi ki bebass hansi ka saccha sahara ban,
Har baar imtihaan hi kyu? Har baar thokar hi kyu?
Aye Zindagi, agar tera iraada sikhane ka hai,
Toh thoda pyaar se bhi samjha sakti hai,
Har baar aansuon ka sahara hi kyu lena?